Qasida lyrics
Mere lab par toh Rehta hai subho-masa
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Banda parwar yahi'n hai wazifa mera
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Kaam aya hai Jiske Azal se yahi
Aur abad tak yehi sabke Kaam ayega
Hai yehi ibteda Aur yehi inteha
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Aap maane na maane haqiqat hai
Yeh khud asar peshwayi ko ajayega
Dekhiye keh ke ek baar baad az dua
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Meri Balee'n par jab aaya moula mera
Naza'h ki mushkilein kitni Asaa'n huwi
Sar ko rakh Kar qadam par jo maine kaha
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Baab-e-Jannat pe jis waqt dekha mujhe
Raasta Dediya Hatt ke Rizwan ne
Aap ki mad'ha ka ye Mila hai sila
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Meri Halat pe bhi Rehem farmaiye
Mujhko bhi apne Rouze pe bulwaiye
mere mushkil Kusha mere haajat rawa
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Jab ye poocha gaya iska matlab hai kya
khul kafa hal ata innama la fata
muskura Kar jawaban ye maine kaha
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Aap kya hai haqiqat hai Kya Aap ki
khud mashiyat ka bhi hai ishara yehi
Mustafa ko bhi mushkil me Kehna pada
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Hai zamana muqalif to hota hai kya
Mujhko mutlaq zamane ki parwa Nahi
Saans jab tak hai baaqi kahe jaunga
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
wird karne laga mai jo Naad-e-Ali
Bhool Baithe farishte jo tha puchna
wo bhi kehne lage Mai bhi kehne laga
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Aake meri lahad me farishte sayeed
Kya qabar mujhse Kya kar rahe the sawal
Adatan Mai jawaban ye kehta raha
Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Comments
Post a Comment