Deen Mohammad ki Baqa hai ya Hussain Nauha Lyrics

 




Nauha Lyrics DEENE MOHD KI BAQA YA HUSSAIN BAS WO TERA AAKHRI SAJDA HUSSAIN Seena’e Akbar se jo khenchi sina Hogaya Ik khoon ka darya rawa’n Kaise uthe Laasha’e Kadiyal jawa’n Tu ne wo Laasha bhi uthaya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jang huwi khoon me ghaltaan huwe Khaakh pa Zainab ke Pisar gir pade Khaime me jab Dono ke Laashe gaye Maa ne kiya Shukr ka Sajda Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Dekh ke Naoshah Ka Tukde badan Bain kare Kis se lipat kar Dulhan Door Madine me hai Hamsin Bahan Bewa huwi Fatima Kubra Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Dafn kiya Tu ne jo apna Pisar Nanhi si turbat me jigar thaam kar Asghar-e Masoom ki Maa ne magar Phool sa Sar naize pa dekha Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Akbar o Asghar bhi fida kardiye Qasim o Abbas juda hogaye Deen e Payambar ki baqa ke liye Tu ne bhare ghar ko lutaya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hazrat e Abbas ke Shaane kate Zainab o Kulsoom ke Baazu bandhe Haay wo Pyaason pa kathin marhale Tauq me Aabid ka gala tha Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Shimr jo khanjar liye aage badha Fatima Zehra ki ye aayi Sada Chhor de Bachcha hai Mera bekhata Hai ye Muhammad ka Nawasa Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Deti rahi Fatima Zehra sada Katgaya lekin Tera Pyaasa gala Sar Tera naize se bhi Deta raha Haqq o Sadaqat ki sada Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Aale Nabi Koocha o Bazaar me Tauq e Giraa’n Gardan e Beemar me Sar khule phir Shaam ke darbar me Laayi gayi Saaniye Zehra Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Shaam ke zindaan ki taarikiya’n Karti rahi Pyaasi Sakina fugha’n Sou’n Main kaise Tera Seena kahan Aaiye jald Aaiye Baba Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Shimr ne maare hain tamaache Mujhe Dekhiye rukhsaar hain soojhe huwe Dard hai kaano me abhi tak Mere Marti hai ab Teri Sakina Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Aaj talak hai Tere Gham ka asar Shaam me Majlis ki bina daal kar Binte Ali baith Gayi’n khaak par De diya Majlis ka Saleeqa Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ham ko Tere Gham ki Sa’aadat mili Kitni balandi ki Ibaadat mili Ik Tere Maatam me ye Izzat mili Aati hain Majlis me jo Zehra Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Fatima Zehra ne ye Ehsaan kiya Hamko Tere Gham ke liye chun liya Tere Azaadaar ko Rutba mila Ban gaye Zehra ki Tamanna Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ham ko Rasheed Usne sahara diya Jab bhi masa’eb ne paresha’n kiya Ham ne tadapte huwe be saakhta Tute huwe dil se pukara Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ham ko Tere Gham ki Sa’aadat mili Kitni balandi ki Ibaadat mili Ik Tere Maatam me ye Izzat mili Aati hain Majlis me jo Zehra Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Comments