Abbas ka nara , Nadeem sarwar nauha 2021

 





Ek shor hai..

Abbas hai abbas..(2)

Ek shor hai

Abbas hai abbas..(2)


Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara

Abbas hai abbas..(2)

Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara

Lalkar ke phir fauj ko ghazi ye pukara

tum sab yehi kehte the ke dariya hai humara

ab dekho ke dariya hai humara ke tumhara

lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara

dariya hai humara..(4)


abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)

lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara

dariya hai humara..(2)

Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)


1. Mai haider e qarrar ke saaye me pala hu

mai fatima zahra ki duao ka sila hu

abbas mera naam alamdar e wafa hu

ye naam o nasab hai meri qismat ka sitara

dariya hai humara..(2)


lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara

dariya hai humara..(2)

abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)


2. Aaqa ki duao ka karam saath hai mere

dekho bani hashim ka hasham saath hai mere

rutba hai alamdar alam saath hai mere

lehrake farera bhi ye karta hai ishara

dariya hai humara..(2)


abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)

Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)


3. Sahil pe jo ye fauj ke daste hai tumhare

ek aan mein paywand e zamee'n ho abhi saare

dariya ulat aaye abhi qadmo'n me humare

ek hashr bapa kardu mai kardu jo ishara

dariya hai humara..(2)


lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara

dariya hai humara..(2)

abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)


4. Khat bhej ke tumne jinhe yasrab se bulaya

mehman the lekin unhe dariya se hataya

pyaase hi rahe wo unhe paani na pilaya

Allah ne jinke liye kausar ko utara

dariya hai humara..(2)


abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)

Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)


5. Ye hukm hai aaka ka na talwar uthana

warna meri zarbo se larazta ye zamana

ye fauj e jafakaar ye zalim ka thikana

ek naize se naqsha hi badal jayega saara

dariya hai humara..(2)


lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara

dariya hai humara..(2)

abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)


6. Kya fauj ki tadaad batate ho hume tum

hum dekhe ke kis tarha hatate ho hume tum

kis hakim o jabir se darate ho hume tum

ab naam na lena kisi hakim ka dobara

dariya hai humara..(2)


abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)

Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)


7.Pyaasa hu magar sunle sabhi dushman e jaani

paani mujhe peena nahi lejana hai paani

haye mere masoomo ki wo tishna dahani

hai mashk e sakina unhi pyaaso ka sahara

dariya hai humara..(2)


lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara

dariya hai humara..(2)

abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)


8. Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar

Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(2)

Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar

Ab bhi hai tarayi ki zamee'n par wo dilafgar

wo dekh zara roza e abbas e alamdar

ek zinda gawahi hai ye marqad ka nazara

dariya hai humara..(2)


abbas ka nara hai alamdar ka nara

dariya hai humara..(2)

lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara

dariya hai humara..(2)

Ek shor hai..

dariya hai humara..(2)

Ek shor hai..

dariya hai humara..(2)

Comments