Nauha lyrics NA JAANE KIS TARAH LAILA NE DEKHA JAWAA’N BETA HAI AUR ZAKHMI KALEJA Khudaya kaise Sarwar ne Uthaya Zaeefi me Jawa’n Bete ka Laasha Rakha khaime me La kar jab janaza Wo Laasha sar se pa tak khoo’n bhara tha Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja Madine me Wo aksar sonchti thi Bahu hogi Hamari chaand jaisi Bada armaan tha shaadi ka jiski Wohi ab saamne bejaa’n pada tha Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja Basarat ja chuki Sibte Nabi ki Hui hai khatm ronaq zindagi ki Luti duniya Hussain Ibne Ali ki Simat aaya hai aankhon me andhera Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja Bada zaalim hua tha ye zamana Kayi hathyaar the aur ik nashana Jawaani me wo phal barchhi ka khaana Shabeeh e Mustufa par zulm aisa Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja Wo Jiska Husn tha Husne Payambar Tha Us par ye sitam Allah O Akbar Watan me muntazir thi jis ki Khwahar Wohi ab khoon me Dooba Pada tha Na jaane kis tarah Laila ne Dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja Kamaale sabr ka ye Mojiza tha Ke khud ko kaise Zainab ne Sambhala Jise atthaara barso’n tak tha Paala Usi ke Qalb me toota tha naiza Na jaane kis tarah Laila ne dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja Koi poochhe Ali Akbar ki Maa se Guzarti kya hai marge Naojawa’n se Sada aati hai Ahsan aasma’n se Rahegi umr bhar sakte me Dukhiya Na jaane kis tarah Laila ne dekha Jawaa’n Beta hai aur zakhmi kaleja
Comments
Post a Comment