Zainab e Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye nauha lyrics

 



Nauha lyrics Hai Sitamgaaron ka nargha Ya Ali ab Aaiye Har Taraf Mehshar hai Barpa Ya Ali ab Aaiye Khaak par hai jaan e Zehra Ya Ali ab Aaiye Hai Ye Aalam Bekasi ka Ya Ali ab Aaiye Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye Bain ye karti thi zainab darmiyan e Karbala Hain kaha Abbas o Qasim ham shabihe Mustafa Kisko de Awaaz zainab kaun ab baaqi Raha *2 Ab nahi'n koi Sahara Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye Hai Dayaare tegho khanjar Zindagi be-aas hai Dhoop hai dasht e Bala hai ranjo gham hai Yaas hai Hai lahu zaqmon se jaari aur gazab ki pyaas hai *2 Muztarib hai Qalb e Zehra ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye Ik tane Mazloom par teero tabar tegho Sina Dekh kar Mazloom ko zulmo sitam ke darmiya'n Khoo'n barasta hai zami'n par ro raha hai aasmaa'n *2 Hai ye Manzar Karbala ka Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye Hashr ka Manzar aaya'n hai har taraf kohraam hai Jal rahi hai Karbala shabbir tashna kaam hai Tegh hai sookha gala hai asr ka hangaam hai *2 Hai Qayamat ka ye lamha Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye Wo siya aandhi uthi Suraj gahan me aagaya Hogaya tann se juda sar Fathima ke laal ka Hai Fareed ab Karbala me wa Hussaina ki sada Chhagaya har su andhera Ya Ali ab Aaiye Zainab e Muztar hai tanha Ya Ali ab Aaiye

Comments